Monday, April 27, 2009

AKS Effect -- Dil parshan hai !!


aaj man hai baho me bharne ka unhe jo besahara hain
aaj man hai unhe marham lagane ka jo darde dil me hain
dil k dard jab aankho se rudhe galo ko par kar k nikalte hain
pura wazood kamp jata hai zindai k kho dene ki tarah

kya pata zindagi kab marhum ho jaye es tarah
sapna haqiqat se dur ho jaye es tarah
aalm ye hai dard ka ki log hanste hain dikhane k liye
par akelpan ki tanhai me tut jate hain mannae k liye

footpatho k upar chalte un bachho k dard se dil parehsna hai
jhopadio ka tute huye darwaje se jhankti aankho se pareshan hai
bada dard hai un aankho me jinhe sapne dikhaye hamne
har us bat se pareshan hai ye dil jaha dard k aalma hai..

kya kare ham es sawal se pareshan hai dil
zindagi k har lafzo se pareshan hai ye dil

hanth de do sahare ka unake ulfat me bas
yahi guzarsih hai tumhare hantho se bas....

--copyright to Abhaya@....

0 comments:

Post a Comment