Wednesday, March 10, 2010

AKS Effect-We are alone while everyone around us -why?

aaj akela hu, man udas hai
kyunki ghar se dur hu,tanhai ka sath hai
kabhi man karta hai rone ka to dard ka ehsas karane wala nahi
kabhi man karta hai hansane ka to gudagudane wala koi nahi


yun to hamdard aur hamnwa kai hain mere
par sanso ki gahrai tak jane wala koi nahi
muskurane ka mauka mila to hans dete hain
dard chupane ka mauka mila to ro dete hain

rafta rafta apni khamoshi ko aawaz de raha hu
kisi bhi chehre ki taraf se nazar hata k ek chehra dekhta hu
khohisho ki es duniya me sab chalawa hai
zindagi kaha hai esaka pata nahi par pane ka dikhawa hai

log milte hain muskura k hamdard ki tarah
par rah me alag ho jate hain do rahe ki tarah
sabki aankho me nami ki ek parat hai
dhaka hai putaliyo se to ye mannat hai

chala hi jata hu kuch pane k chah me
kitana kho diya esaka koi jawab hi nahi
dekhta hu piche mud k apni yaaddo ko
to sab kuch mit gaya hai es zindagi ki chalo me


Copyright@abhayacreativity

0 comments:

Post a Comment