Hi,
sawalo se jujhte es dil k kya khyal hain es par ek samvedna prakat kiya hu,aasha karta hu aap esko pasand karenge-
Aksar socha karta hu ki kya hun aur kyun hun main,
jeevan kyun aisa hai jab roj wahi sab karna hai,
aar ya par kise kahte hain samjh na pata hu main,
kabhi hausle k sath hawa ka thopda bhi sambhal pata hu,
kabhi nirasha k badal me khud ko ladte pata hu main,
Aksar socha karta hu ki kya hun aur kyun hun main..
Subah hua jab se dauda dauda thak sa jata hu,
raat ki kali syahi me khud ko kahi nahi pata hu,
jeevan ki es bhagdaud k bich kya khoya kya pata hu ,
kabhi chata hu ki daud k aage bhagu main,
kabhi chahta hu ki man santosh saral kar jina sikh saku main,
Aksar socha karta hu ki kya hun aur kyun hun main..
Kabhi khyalo ki aandhi me kho sa jata hu,
par kar saku es dariya rupi jeevan nauka ko,
kash saral hota jeevan ki ye pagdandid ,
jis par fool khilte hain manav ki chanchal prakriti k,
Kabhi yun hi apne me mahabhart kah jata hu,
Aksar socha karta hu ki kya hun aur kyun hun main..
Soch k jeevan ko chalana hai ya karmveer main ban jau,
kismat k etne hanth dusaro par dekh k man chanchal ho jata hai,
manav swabhav k es vishmay rahsya se parichit ho k,
man kaisa kaisa ho jata hai,
apni daud chod kar kyun main dusari daud me ghus jata hu,
Aksar socha karta hu ki kya hun aur kyun hun main..
Karmveer krishna se lekar, maryadit Ram se lekar,
Sabka jeevan dekha hai en bicharo ne,
kahi koi sawalo se na bach paya hai ,
jeevan ki es bhul bhulaiya me main kho sa jata hu,
Aksar socha karta hu ki kya hun aur kyun hun main..
Copyright @ abhayacreativity.blogspot.com
- Abhaya K Srivastava urf AKS
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
have u written it cha?
ReplyDeletewhatever..nice one..
especially the two lines..
"kavi hausalo k sth...ladte pata hu main"..n
"kavi chahta hu daud k...jina sikh saku main"..
liked it..
yes- wrote it today...c which poems or prose start with "AKS Effect" is written by me..
ReplyDeleteooo....great:)
ReplyDelete